Hello aap sabhi ne pradhan mantri awas yojna ka form to bhara hi hoga aur aap sab k mann mei ye baat aayi hogi kaise pata karein ki jo hamne form bhara hai uska status kya hai hamara list mei naam aaya hai ki nhi ye jaanne k liye aapne aaapke mann mei utsukta hogi to isi baat ko dhyaan mei rak k maine aapke liye ye tutorial banaya hai aapke liye jisme aap asani se pata kar sakte hai Pradhan mantri awas yojna list mei naam kaise dekhe wo bhi apne phone ki madad se ji ha apne phone ki madad se aapko bar bar internet cafe mei jaker chakkar lagane ki jarurat nhi hai aur waha pe hamara paisa bhi lag jata hai aur aaj k samay mei sabke pass inernet hai to koi problem nhi honi chahiye aapko bus jajurat hai bus thodi si guidance ki TO AAIYE KUCH NAYA SEEKHTE HAI .
Pradhan mantri awas yojna form bharne k kuch steps
sabse pahle dosto aap apne phone ka browser open kar le jis pe aap internet chalate hai
Ab aap is par type karein pmaymis.gov.in yah PRADHAN MANTRI AWAS YOJNA ki official website hai aap niche di gayi pic mei bhi dekh sakte hai.
pmay official website
is website pe aane k baad aapko yaha per aapko sabse upar right hand par citizen assessment naam ka option milega uspar click karne pe ek list khulegi us list mei sabse niche Track Your Assesment Status par click karna hoga example k liye niche di gayi pic mei dekhe.
is par click karne ke baad aapko yaha do option dikhege
By name father name & id typeDosto is option mei aap apna naam jo aapne form mei bhara tha father ka naam ya apni id type ko type karke apne form ko search kar sakte hai.
By Asssessment IDDosto mei aaapko yah dusra wala option hi choose karne ko boluga kuki isme bus aapko apna Asssessment ID dalkar asani se search kar payege example k liye niche pic mei dekhe.
pmay
Jaise hi By Asssessment ID k aakge chote se point pe click karege aapke samne ek nayi screen khul k aa jayegi niche di gayi pic mei dekhe
PMAY KI LIST
Yaha dosto aapko do option dikhege Asssessment ID aur Mobile no Dosto jab aapne PMAY ka form bhara hoga to aapko foem mila hoga ek jisme yah Asssessment ID likha hoga Asssessment ID 15 no ka hota hai aur dosto aapkoCONTACT NOMEI aapko wahi contact no dalna hai jo aapne form mei bhara gaya tha yani ki aapka pmay ke liye aapka registered mobile no aur yah status check karte samay bhi aapke pass wah phone hona chahiye kuki uspe ek one time password yani ki OTP aata hai jiski madad se hi ham yaha se aage badh sakte hai.
Ab jab aap yaha pe apni Asssessment ID aur register mobile no likh de to aap niche diye gaye submit button pe click kar de jaise hi aap submit button pe click karege aapke samne niche di gayi pic ki tarah window khul k aa jaygei aapke phone pe ek one time password aayega jise aapko yaha pe dalna hoga